اس اکیڈمی کو بنانے کا مقصد کیا ہے؟ is academy ko bnane ka kia maqsad ha?
Quran Pak parhany k beshumaar platform han , har aik apna apna hissa daal raha ha, or hm apna hissa apni bisaat k mutabiq daal rahy han.
hamra main maqsad Qur'an Kareem ki Ta'aleem k saath saath saath TARBIYYAH pr khususi tawajjo dena ha , Tarbiyyah sy murad : #bachon or baroon ko basic Islami ta'aleem dena ha, jaisa k wudu , namaz , roza , hajj , zakaat, or deekgar zrori malomaat students tk beloos baham pohnchana ha, jo k aik aam aadmi ko iski roazana ki bunyaad pr zrorat parti hi ha.
Comments
Post a Comment